language selector

Guru Puja Geet


Hai Sabse Uttam Guru Ki Puja, Hai Sabse Pawan Guru Ki Puja -2

Guru Ki Puja Hai Sukh Dai, Guru Ki Puja Hai Rang Layi -2

Guru Hai Razi To Rab Hai Razi, Guru Bina Hai Na Koi Duja

Hai Sabse Uttam Guru Ki Puja......

Guru Hai Brahma Guru Maheshvar, Nirakar Hai Guru Hai Ishwar- 2

Guru Hi Jal Mein Guru Hi Thal Mein, Guru Hai Sare Jahan Mein Uncha

Hai Sabse Uttam Guru Ki Puja......

Guru Hai Bhakti Ka Ek Mandir, Guru Daya Ka Hai Ik Samunder - 2

Hai Dina Bandhu Kripa Ke Sindhu, Ho Gyan Tera Hamein Hamesha

Hai Sabse Uttam Guru Ki Puja